Skip to main content

देश भक्ति गीत

Kar chale ham fida janotan sathiyon
Ab Tumhare hawale watan sathiyon.
   Sans thamti gayi nabz jamti gayi phir bhi badhte qadam ko         na rukne diya
   Kat gaye sar hamare to kuchh gam nahi sar himalay ka                 hamne na jhukne diya.
Marte marte raha bankpan sthiyon. 
Ab Tumhare......................... 
Zindah rahne ke mausam bahut hain magar jan dene ki rut roz aati nahi
Husn aur Ishq dono ko ruswa karen woh jawani jo khun me nahati nahi
Aj dharti bani hai dulhan sathiyon. 
Rah qurbaniyon ki na wiran ho tum sajate hi rahna naye qafile 
Fatah ka jashn is jashn ke bad hai zindagi maut se mil rahi hai gale 
Bandh lo apne sar se kafan sathiyon. 
Ab Tumhare .................... 
Khunch do apne khun se zamin pe lakir iss taraf aane paye na rawan koi
Tod do hath agar hath uthne lage chhhune paye na sita ka daman koi
Ram bhi tum tumhi lakshman sathiyon
Ab Tumhare..................... 
Kar chale.......................... 

Comments